Thursday, July 21, 2016

True Story – Mujhe Nafrat Na Thi

story nafrat

Javed mery chacha ka beta tha – javed k maa, baap ki car eccident  me death ho gae os waqt javed ki umr 9 saal the aame abbo inhe ghr le aiy. Amme ne javed ki bohut pyar se dekh bhall ki meri age os waqr 6 saal the amme muj se zada ise pyar karte.




Me apne waldean ki iklote olaad the tabhe beta samej kr woh javed se zada pyar kerte the or mujhe yeh dekh kr bohut jalen hote her waqt meri javed se ladae hote rehte woh mujhe tang kerta me rote hoe maa se kehte woh hum dono ko pyar se samjah kr chup kerwate.

Javed jan bhoj kr mujhe satata tha me javed ko kehte khuda kare tum is ghr se ik baar jao tou phir kabhe wapis he na aao.

Ik rooz Allah ne meri son le javed ko aabo ne pedhne k liay Canada bhej diya or mere liay yeh sukoon ka sonehre zamana tha – me bohut khosh the k mujhe satane or teng krne wala ab yaha nahi hai – zindage kitne pyare ho gae the. Kch maheno baad abbo ki death ho gae tub amme javed ko bohut zada miss krne lage.

Din youn he guzrte gy or phir woh din be a gya jis ka muj ko her giz intizaar nahi tha me sochte the kash woh kabhe na aiy mujhe javed se nafrat ho chuke the q k woh mujhe bohut preshan kerta tha me chahte the k maa ka sara pyar sirf mujhe mile magr maa javed se zada pyar kerte.

Me bed pr baithe the k achanak javed ne door khola or woh ander a gya. Woh bohut smart or rang be pehle se kafe gorah ho gya tha abhe woh ander he aaya tha k amme bhage hoe aae or javed ko gale laga diya - mere beta mera laal kitne din baad aiy ho tum - meri ankhain tou tares rahe the maa jazbate ho gae. Mene jan bhoj kr javed ko nazar andaaz kr diya – amme ne muj se kaha khana bana do pehle korma banalo phir biryane yeh dono javed ko bohut pasand hai me kitchen me chale gae or khana pakane me lag gae. Thore deer baad javed kitchen me aaya or kaha me tumhare liay kch laya ho aik chota sa gift pack mere hath me diya or waha se chala gya.

Mujhe javed ab bohut acha lagne laga raat ko jub mene apna gift khola to yeh dekh kr bohut heraan reh gae – k woh white color ka breaslet tha – muj ko humesha he se white color ka breaslet bohut passand tha or javed her baar kehta tha k kale kalai pr white breaslet acha nahi lagta.

Agly rooz ghr pr kch mehmaan aiy or ik khatoon ne mujhe dekh kr kaha MasshaAllah aap ki bete to lakho me 1 ha pata nahi kyn yeh loog mujhe bilkul passand nahi aiy – in logo k jate he mene amme se pocha yeh koon the tou amme kehne lage yeh tumhara rishta mangne aiy the ladka acha ha. Jub se tumhare abbo hume chor kr gy hn mujhe bs yahe chinta ha. Javed ne kaha amme aap sarah ka rishta kr rahe hn. Aap fikr mat kare sub theek ho jaiy ga sarah k liay rishto ki kame nahi hai. Amme rone lage javed to jaise toot he gya – woh meri terf dekha or kaha maa ki terf dekho tum bachpn se yehe kehte a rhe ho na k tum muj se nafrat kerte ho or kabhe muj se shadi na kro ge agr tumhe muj se nafrat na hote tou aaj maa ki ankho se ansoo na aate – me amme ko chup krane lage or kaha amme ka her fasela mujhe qabool ho ga aap mery bare me bilkul sahe fasela kare ge –  javed apne room me chala gya.

Javed k jane k baad me sochane lage keh kya ho gya ha mujhe – javed k bare me is terha mene kabhe socha na tha – kitna tang kiya kerta tha mujhe zindage azaab bana de the ab kitna badel gya hai.

Agly rooz javed ne amme se mera rishta manga – amme tou jaise tiyaar baithe the lekin mera ajeeb haal tha ghr me koi aise jagah na mil rahe the jaha ja kr me chup jao or javed mujhe daikh na sake. 15 din baad ki date fix ker de gae – jaise javed ko meri amme se be zada julde the.

Shadi k baad pehle raat ko unho ne kaha – pata ha sarah jub tum se itne saalo baad mila tou me tumhare liay kis kader udaas tha – je cha rha tha k tum humesha k liay meri ho jao or hum tum kabhe juda na ho. Han javed me be is din se aap ko passand karne lage the – na jane barsoo ki nafrat kha gum ho gae or is ki jagah mohabbat ne ly le – shayad bachpn ki woh nafrat bhe nafrat na the or aap ko pata ha me kaise ho – agr aap khud is masle ka hal na nikalte tou me kabhe is baat ka izhaar na kr sakte.

Jo shaks bachpn se jawane tek mere liay azaabo ka sabab rha tha – ab woh meri zindage ki sub se badhe khose ban gya tha – aaj me is ki salamate k liay dua kerte hon – Aa Khuha mere sohaag ko salamat rakhna….!

No comments:

Post a Comment