Waqas meri khala ka beta tha – khalo ki accident me death ho gae the – ghr pr koi kamane wala nhi tha waqas ne apni padhae chor kr job ki talash krne laga jaha jata jawab mil jata k tum matric pass ho kam az kam BA to kr lo phir aana job k liay. Tang a kr waqas ik hotel me waiter ka kaam krne laga.
Jub yeh baat meri ammi ko pata chale tou unho ne khala ko phone kiya or kaha k tum waqas ko mery pass bhej do me apne husband se baat kr k ise collage me admission kra donge – waqas BA to kr ly phir kahe achi job mil jaiy ge.
Ammi ne abbo se baat ki to abbo kahne lage k tum apne bahanje ko bola lo humara ghr kafe bada ha oper k room me jaga de dange or me is ko driwing sikha donga or sath sath woh perhta rahe ga.
Kch din baad waqas humare ghr pr a gya – hafte me ik baar woh apne ghr apni ammi k pass milne chala jata or 1 din waha reh kr phr wapis a jata – mery father ko be waqas k aane pr kafe khose hoe q k mery father business k kaam se kise dosre city jate tou in ko fikr na hote q k waqas k aane se woh ghr ko mefooz samagte the. Waqas bohut acha ladka tha kabhe koi aise baat nhi krta jo hume bura lage abbo ka bohut khayal krta tha abbo be is ka khayal rakhte thy – collage me admission dilwaya, books la kr diay, pocket money be dete thy.
Woh jub be muj se baat krta nazar neache rakhta or bohut tameez se baat krta or humare sath is terha rehta jise k humara nokr ho – hum is ko nokr nhi samagte yeh khud aisa mehsoos krta to hum kya kre – ammi kehti tum is se achi terha baat kr liya kro ta k woh khud ko humara qareebe relative samje.
Mery abbo bohut mohabbat krne wale insan the – magr me in se bohut darte the ise waja se me waqas se zada baat nhi krte or yehi baat mery father ko bohut passand the.
Ahista ahista waqas ne sub ka dil jeet liya agr kabhe kise kaam ki waja se ghr pr late aata tou me preshan ho jate meri maa yeh chate the k ladka bohut acha ha is se acha ladka mujhe apni beti k liay nhi mil sukta unho ne sooch rakha tha k waqas BA pass kr ly or kahe achi job pr lg jaiy tou me husband se is ko ghr damad banane ki baat kro – mera koi bhai nhi tha or me apne abbo se itna darte the k un k ghr aane k baad me apne room me chale jate – aisa he waqas ka haal tha woh collage se a kr apne room me chala jata.
Kch din baad mery abbo ko phone aaya k aap k bhai ki death ho gae ha mery exams ho rahe thy is liay me nhi ja sake – abbo ne jane se pehle waqas ko kaha tum pr aitbaar krta ho ghr ka khayal rakhna me kl wapis a jaon ga.
Abbo or aami apni car me chale gy 3 gante baad woh waha pounch gy - bhai ki tadfeen k baad abbo ne waha rukna sahe nhi sumja q k me ghr pr akeli the woh taqreban raat 12 bjy ghr wapis a gy – or hume yeh keh kr gy thy k hum kl tk wapis ainge.
Mera math ka paper tha or kch question mujhe samaj nhe a rhe thy tou me formula pochne waqas k room me chale gae me kise gult irade se is k room me nhi gae the or na he waqas k zehn me aise koi baat the - woh mujhe apne samne dekh kr ghabra gya – mene us se kaha kl mera paper ha or mujhe kch formula samej me nahi a rahe please mujhe thora sa bata do – mery baar baar kahne pr woh razee ho gya or apne room se mery room me chala aaya.
Abbo k pass gate ki chabe the – baher se khol kr woh ander a gy jub unho ne mery room ki light on dekhte tou woh idhr chale aian – mene abbo ko aate dekh liya meri samej me kch nhi aaya mene zor se chilana shoru kr diya – waqas tum q mery room me aiy ho chale jao yaha se or sath he mene books utha kr is ko marna shoru kr diya – me yeh zaher krna chate the k mene waqas ko yaha nahi bolaya woh khud mery room me a gya – agr me keh deti k mene waqas ko math ka question samjane ko bolaya ha tou abbo kch nhi bolte – lekin abbo k khoof ki waja se me bohut zada dar gae.
Mery shor machane pr abbo yahe samje k waqas ne namak harame ki ha – unho ne waqas ko marna shoru kr diya or marte marte ghr se baher nikal diya or kahne lge namak haram agr ab tou is jaga nazar aaya to mera tera khoon pee jaon ga – mene tuje ghr ka khayal rakhne ko kaha tha or tou he raat ko meri beti k room me gus gya agr me aaj na aata tou.
Waqas pr kya qayamat guzree - yeh tou wohe janta ha phir pata nahi woh kha gya - Meri gulti ki waja se woh tabah wa barbad ho gya or us ki maa to meri khala the us ne kitne umeedain laga rakhe the hum se or apne bete se un ki umedain be mene khaak me mela de.
Us k jane k baad mujhe ahsaas hoa k mene kitna glt kiya khud ko abbo k gusse se bachane k liay ik insaan ki zindage barbaad kr k rakh de.
Waqas ghr nahi aaya or na he apne ghr gya pata nhi woh kaha chala gya yaha tk k 2 saal guzr gy – khala aaj be jub muj ko kahe dekhte ha tou moo pher lete ha zaroor bad duain in k dil se niklte ho ge – me khud ko be bad duain dete hon – kash is raat is be qasoor pr jhootey ilzaam lagane se behtr tha – mujhe maut a jate – kash ik baar who mil jaiy tou maafe mang kr sukoon pa sako.
No comments:
Post a Comment